learn english


Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe grammar best tips tarike in hindi free speaking course in india

Online ghar baithe jaldi English Angreji bolna kaise sikhe? Agar ye question apke mind me hai ki jaldi English bolna kaise sikhe. Toh appke iss question ka answer yaha par milega.
Apko yaha par apko yaha online English bolne ke best tips tarike bataye jayenge. Ye pehle online free English speaking course hai india me. Ye online free English speaking course sabhi ke liye useful hai. chahe app students hai, housewife hai ya full time working employee. Ye india ka 1st online free English speaking course in india hindi language me hai. jo ki apko 30 dino ke ander angreji I mean English bolna sikhata hai.
20 tips– jaldi english bolna kaise sikhe- Online free speaking course in india best tips -30 dino me:
agar app jaldi english bolna sikhna chahte hai toh app niche diye gaye 20 tips ko jarur pade. isme appko engligh grammar ki best tips batai jayegi. aapko ye bhi bataya jayega ki app kaise apni english vocabulary ko strong kar sakte hai. ye india ka 1st online free english speaking cource hai jaha apko ase latest tips tarike bataye jayenge jinak app use karte hua apni apne fluently english bol sakte hai.
i know ki ye article bahut bada hia lagbhar 4000 words ka. toh app iss article ko bookmark karle. apko jab time mile app ise padh sakte hai. par sare point i mean 10 point jarur padhe. takki apka english sikhne ka concept thik tarha se clear ho jaye.
Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe 30 din me grammar best tips tarike in hindi language pdf download video free speaking course in india
1. apni daily life me English ko samil kariye- jaldi english bolna sikhe free speaking course in india:
aagar app apni daily life me English ko samil kare toh ye apki English sikhne ki speed ko orh tej kar dega. app ghanto English study karne ke bajaye app agar rojana English ke touch me rahe toh app jaldi English bolna sikh sakte hai.
Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe 30 din me grammar best tips tarike in hindi language free speaking course in india
ab jante hai ki app kaise English ko pani life me shamil kar sakte hai.
  • Drive karte time English song sune.
  • Chhoti chhoti baate English me bolne ki koshis kare like thanks, welcome etc.
  • Hindi me news padhne ke bajaye english me newspaper padhe.
2. vocabulary strong kare- online free english speaking course in hindi:
agar app jaldi English bolna chahte hai. toh appko apni vocabulary power ko strong karna hoga. Kyuki word meaing se hi sentence banta hai. agar apko kisi word ka English me meaning nahi pata toh appko use translate karne me badi katinai hogi.
Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe 30 din me grammar best tips tarike in hindi language pdf download vocabulary speaking course in india
For example: agar app ye sentence English me bolna chahte hai.- “ Me roj raat ko 1 ghante padta hu. Takki me exam me ache marks laa saku.
Iss sentence ka English translation ye hoga. – I study 1 hours every night. So that I can get good marks In my exams.
Aagar iss upar ke senctence me apko “padne” ka english meaning na pata ho toh apko badi problem ho sakti hai ise English me translate karne me. Padhiye apni enlish vocabulary kaise achi kare?
3. Grammar ki knowledge – jaldi english bolna kaise sikhe best tips tarike :
Agar apko basic grammer nahi ati. Toh bhi apko kafi problem aa sakti hai English sikhan ke liye sabse step hai ki apko grammer sikhani hogi. Waise English grammer kafi badi hai. but ham ise easy banana ke liye 3 parts me devide karte hai.
  • Tenses
  • Modals
  • Passive voice
Chaloo apko 1 lesson de diya jaye- best tips Jaldi English angreji bolna kaise sikhe course :
ajj ham sikhte hai has to have to ka use kaise karte hai. iss lesson ko start karne se pehle. Me ye man rha hu ki apko basic sentence structure banana ki pehle se hi knowledge hai. agar nahi hai toh ye padiye- me sentence ka structure kya hota hai?

Rule: sub + has to or have to + verb+object.

have to /have to ka use kaha kare– jab hindi sentence ke ant me na hai, ni hai, ne hai aaye toh has to have to ka use karte hai hai.

Example: muje 1 ghante ke under khana banana hai.
I have to cook food within one hour.
Iss hindi sentence ko me banate time dhyan me rakhne wali bate:
-iss sentene ke end me “ne hai” aa raha hai it mean yaha par has to have to ka use hoga.
-he, she, it orh kisi name ke sath has to ka use karte hai.
– you, they, we ke sath have to ka use karte hai.
agar apko iss prakar ke lesson orh padne hai orh apni English grammer ko strong karna hai. toh app niche diye gayye syllabus ke accoding grammar sikh sakte hai.
modals- padhiye modals ke 10 lesson
passive voice- padhiye passive voice ke 10 lesson
tense-  hindi me tense ko sikhiye 12 lesson
4. English dairy banaye apni pure din ka detail English me likhe- jaldi english grammer sikhe:
Agar app apni English writing skills ko acha karna chahte hai. toh app ye tips bhi apna sakte hai apko bass ek English dairy banana hogi. Iss dairy me app wo sab likhe jo pane pure din me kiya hai. asa karne se apki English writing skill kafi had tak improve ho sakti hai.
Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe 30 din me grammar best tips tarike in hindi language
Example: agar me 1 normal insall ka schedule batau toh me ise morning se night taka se english me iss tarha likhunga.
Today I have got up early in the morning. Then I went to having morning walk. Then I went to gym for doing some exercise. After that I came back to home. Then I taken bath and got ready for my office. Because, i was getting late for my office that’s why I did not do my breakfast and reached my office 10’ clock. Then I did office work. Then I return to my home at 8’ clock. Then I have dinner and watched some latest news. Lastly I went to bed.
Mene apna fure din me jo jo kiya wo apni English ki dairy me likha. Iss tarha ham roj kuch na kuch naya sikhne ko sikh sakte hia. Kyuki ham roj kuch na kuch different karte hai.
 jaldi englihs sikhe ke liye best book – Repidex
agar apke mind ke ye question hai ki jaldi english bolne sikhane ke liye best book kon si hai. Agar app 1 asi book ki talash kar rahe hai jisko padhkar app 30 dino me english bolna sikh jaye. Toh me apko india ki number one book repidex kardne ki salha dunga.
Ye book R. K. Gupta dwara likhi gai hai. iss me apko day wise day enlish sikhai jayegi. Ap 30 dino me asani se english bolna sikh kakte hai.
online free english speaking cource in india englihs bolna kaise sike
Main feature of this repidex english speaking cource book:
  • basic word meaning
  • Uses of article- a, an and the.
  • Tenses- present , past, future.
  • Use of noun, pronoun, adjective, verb, adverb, conjuction etc.
  • How to make passive voice form tenses.
  • English conversation with hindi senctence.
  • Presentation skills
  • Personality development
  • Everyday communication like introduction with friends, communication skills etc.
Iske alawa apko iss boke ke sath apko 1 cd bhi milegi. Iss cd ki app sari video dekhe apko isme bahut important tips diye jayenge. Like English me koi word thik se pronounce kaise kare etc.
5. Gharme lagi chijo par English me likhe- online free english speaking cource in hindi:
Ye sunne me kuch ajib hai. par English vocabulary sikhne me kafi fayde mand hai. appko apne room me English word meaning me poster lagane honge. Ase poster apne room me lagane ka kaffi fayda hai. jaise ki app jab bhi utete ho or kahi ate jate or orh kuch karte time apki nazar jane anzane in English words par pad hi jati hai. ase me dhire dhire ye words apko apne app hi yaad hone chalu ho jate hai. padhiye English poster lagate time kin kin bato ka dhyarn rakhe.
6. English me sochne ki aadat dale- English grammer sikhne ki best tips orh tarika:
App chahe office me ho or ghar par appko jabbhi time mile. Toh app jooo bhi kam kar rahe hia. Use English me convert karne ki koshis kare. isse apko new vocabulary sikhe ko milegi sath sath apki hindi to English translation speed bhi tej hogi. Hindi to English sentence translate karne ke liye app iss process ko follow kar sakte hai.
Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe 30 din me grammar best tips tarike in hindi language pdf download video free speaking course in india


-sabse pehle hindi me sentence ko sochiye.
– English me uss sentence ka tence pehchane.
-fir English me uss sentence se related word meaning sochiye.
– fir un words ka use karte hue apna English me sentence banaye.
For example: ajj me bazaar se kapde karidne jaa rha hu.
Sabse pehle hame hindi me ye upar ka sentence sochat. Fir hame dekha ek senctence ke end me “rha hu” aa raha hai. toh I mean ye sentence present continues tense ka hai. fir hame isse sentence se related English word minde me soche jaise ki market, clothes, going etc. end me iss hindi sentence ko English me convert kar diya. Today, I am going to buy clothes from the market.
7. confidence badhaye ke liye mirror ke samne english bolne ki practice kare- best tips tarike for online free english speaking cource in india :
agar app engihs me bolna chate hia par darte hia ki koi apka majak naa banaye. apke ander me baat karne ka confidence nahi hia. toh apko mirror ke samne me baat krne ki practice karni chahia. Isse apke under confidence ata hai. jab app mirror ke samne enlish me baat kare toh inn niche di gai bato ka dhyan rakhe.
free english speaking cource in delhi india Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe 30 din me grammar best tips tarike in hindi language


  • app mirror ke samne english me bolne ke liye ase room ko choose kare jaha koi ata jata nahi hai. kyuki agar appko kkoi dekh leta hia. toh usko kafii ajib lagega.

  • App sabse pehle 1 topic par presantation banaye. Fir isko mirror me ase bole ki jase app kisi bade tv show par kisi produduct ko bechne ki presentation de rehe hia. jisme app customer ko convice karne ke liye puri josh se product ki feature bta rahe hai.

  • Mirror ke samne baat kart time eye contact bana kar rakhe. Akho me akhe dalkar baat karne se confidence badhta hai.

  • Apni body language ka dhyarn rakiye. Hand movement thik tarha se kare.

  • Jab app me presentation de rahe ho toh apna sir thoda upar rakhkar baat kare. Sabko dekhkar baat kare. Orh 1 lambi saans lete hua saant rehne ki koshish kare.
8. english newspaper pade jor jor se – Online ghar baithe Jaldi English bolna kaise sikhe best tips :
shayad ye tips apke teacher ne bhi apko de hogi appko roj english newspaper padhna chahia. Abb app soche rahe honge ki english ka newspaper jor jor se padhne se kya fayda hai. isse apki pronunciation skill achi hoti hai. isse apni english vocabulary improve toh hoti hai sath sath appki desh ki news ke bare me bhi pata chalta hia. Agar app beginning level me ho toh apko english newspaper kaffi had tak help kar sakta hai.


Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe 30 din me grammar best tips tarike in hindi language newspaper
newpaper padhte time in bato ka rakhe dhyan:
  • jab apke samn koi asa word jo apne kabhi sunna na ho. Orh apko lage wo impotant word hai. toh app use undeline kar sakte hia. Isss word ko alag dairy me likhe.
  • In words ke 3- 3 sentence banaye. Inhe sentence banakar use kare. Isse apki english vocabulary storng hogi.
  • In words ko daily life me rojana bone ki koshis kare.
9. apne friend ke sath english bolne ke practise kare- online free english grammar and speaking cource in hindi:
app apne friend circle me uss friend ko dhunde jo english sikhna chahte ho. App unn log ko sath english me baat kariye. Ase karne se apka confidence badega. App jab bhi apne friend se mile toh jitna ho sake utna english me baat kare.
group discustion with friend Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe 30 din me grammar best tips tarike in hindi language pdf
App apne unn friends ka 1 group bana sakte hai. jo sikhna chahte hai. app 1 group banaiye fir roj koi topic lekar group discussion kariye and debate bhi kar sakte hai. iske liye apko 2 group banana hoga. 1 group topic ke favour krega toh dusra gourp us topic ke against me baat karega.
For example: app topic le sakte hai. internet ka kya fayde hai. agar apke kuch me 6 candidate hai toh app 2 hisso me 3 – 3 ke group me baat jaye. Ab 1 group internet ke advantage batayega. Toh dusra group internet ke disadvantage bataye. Iss tarha app group me debate karke jaldi bolna sikh kate hai.
10. english song sune orh redam ko samjhe- Online ghar baithe Jaldi English angreji bolna kaise sikhe best tips tarike:
ha muje pata hia apko english song sunne ke aadat nahi hai. ye utana hi ajib baat hai jaise ki agar ham kisi bangali insal ko bole ki app hindi me song suniye. Par agar apko ghar baithe jaldi english bolna sikhana hai. toh appko english song sunne ki aadat dalne hogi. English song sunne ka ye matlab nahi apko sab samaj aana chahia ki uss song me kya baat ho rahi hai. yaha baas apko song isliye sunna hia takki app uss song ka redam ko feel kar sake. Ha app sahi samje english bolne me jaydatak foreiner log redam ka use karte hai. wo ek lay (retam) me baat karte hai.
for example: agar app iss sentence ko bole- if you want to be successful sells man, you should know how to communicate.
Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe 30 din me grammar best tips tarike in hindi language music free speaking course in india
agar app app upar ke sentence ko ekk baar me hi bol denge toh toh ye sunne me kaffi ajib lagega orh apki fluecy toh tkik hogi. Par apke pronunciation kharb ho sakti hai.
toh best bolne ka tarika hai. words ko divide karke bole. Isse paki enlish ki fluency bhi thik rahegi orh apki pronunciation sunne me achi orh natural bhi lagegi.
Agar me apko upar ka sentence ko redam wise alag kane ko bolu. Toh app almost is sentnec ko 2 parts me devide karoge. Par ye wrong hai. ye sentece 6 parts me divide hai. aap iss sencte ko 4 parts me devide karke bole. Orh har sentence ke bich bas adhe ½ second se bhi kam stop rahe orh next sentence star kare. I mean app iss sentence ko app bich me ½ second ki liye roke bhi par kisi kko pata na chale.
  1. if you want
  2. to be successful sells man
  3. you should know
  4. how to communicate
11. voice recorder ka use kare– 1 best tarika tips jaldi english sikhne ka :
agar app ghar baithe jaldi english bolna sikhna chate hai. toh voice rorder ka use karna 1 best tip hai sikne ki. Apko karna kya hoga. Sabse pehle koi voice recorder le. Agar nahi hai toh app apne mobile ke voice recorder ka bhi use kar sakte ho.
Abb apko ek preentation banani hogi app koi sa bhi topic le kate hia. Jaise ki ye topic le education is right for every child. App iss topic ko pehle ek copy me likhe. Fir 1 -1 point yaad kariye. Orh fir voice recorder ke jariye apni presentation ko record kare.
Asa karne se apkp ani kamio ka pata chalega ki jab app enlish me baat karte hai. toh appki voice kaise lagti hai. app kahi jyada speed me or dheere toh bolte nahi. Toh ase karke app apani weakness ko thik kar sakte hai.
12. chhote baccho ki books or comic books padhiye- jaldi english bolna kaise sikhe tips tarike :
agar app jaldi English bona sikhna chate hai toh. Toh app ye tarika apna sakte hai. isme app chhote baccho ki book badh sakte hai. iss books me aam toor par stories hoti hai. inn stories me apko bahut hi usefull vocabulary mil sakti hai. appp asani se ghar baithe ye story padh sakte hai. orh ghar par hi app apni vocabulary ko strong kar sakte hai.
iske alawa inn small stories ko padhkar app apni grammar par bhi pakad sahi kar sakte hai. appko basic english grammar ke tips asani se mil jayega. Ki chhot chhote sentence kaise bante hai. app tences, modals I mean grammer ka ko asani se sikha sakenge. Jaha tak muje pata hai ye sabse asan tarika hai english vocabulary tej karne ka. Kuch anye tarike bhi vocubalary ko storng karne ke jaise ki app cards ke jariye game khelte hue apni word power achi kar sakte hai. Padhiye flashcards ke jariye voculabary yaad kare.

13. English movie or video subtitle ke sath padhe – ghar baithe Jaldi English angreji bolna kaise sikhe :
Apko pata hai english movie apko jalid english sikhane me help kar sakti hai. ye tips mere ek friend ne muje di thi. 1 din ki baat hai me apne friend ke ghar kuch kaam se gya tha. Wo english movie dekh raha tha. Me ye dekhkar chok gya orh pucha ki yaar tuje english samaj toh ati nahi. Fir ye english movie ko kyu dekh raha hai. wo bola yr is movie me hindi me subtitle diye hua hia. Me baas wo dekhta hu. Orh iss movie ke english dialog sunata hui. Toh kai baar muje subtitle dekhne ki jarurat bhi nahi padti. Muje unka accent samaj aane lagta hai.
Iss baat se muje 1 baat clear ho gai agar app enlish movie dekhe toh app entertainment ke sath sath apni english bhi sudhar kakte hia. Apko kuch word ase yaad ho jaynge jo app kabhi nahi bhulenge. Jin words ka app use english grammar sentence bannane me kar sakte hia. Iss tarha se ye 1 best tarika hai jaldi english sikhne ke liye. App ghar par kabhi bhi koi bhi english movie dekhkar apni vocabulary strong kar sakte hai.
14. tv ka use kare – English news channel dekhe- jaldi english bolne sikhne ka best tarika:
ye best tips hai jaldi english sikhane ki. Apko baas iss baat ka dhyan rakhna hai app ghar par jab bhi tv dekhe toh usme english channel ka dekhne ki koshish kare. Jitan ho sakte english news channel ko apne dincharya me laye. App bbc channel ko dekh sakte hai. iske alawa english serial dekhne se bhi kafi fark parta hia. app english channel jaise ki star tv, star word etc dekhe. App koi bi show dekhe orh enjoy kare. Starting me apko kuch problem aa sakti hia. apko kuch samja nhi aaye. Par agar app regular iss serial ko dekhege toh. Apko dhire dhire jabkuch samaj ane lagega. Iss tarah app app tv dekhkar bhi sikh sakte hai. in bato ka jaru dhyan rakhe jab channel ko dekhe toh.
  • serial me subtitle hai toh subtitle ko jarur pade.
  • Kamse kam rojana 30 minut serial jarur dekhe. Apko 1 routine banna hoga.
  • Apne interest se apna koi favorite serial choose kare. Takki appko boriyat feel na ho. App enjoy karke pura show dekh sake.
15. right wrong ka na soche – jaldi grammar sikhe online free
bolte time right wrong ka jayada sochna nahi chahia. Kyuki ap itan sochoge toh kabhi fluent english nahi bol paoge. App bass apni galtio ke bare me hi sochte reh jayyge. Orh apko angregi bolne ka confidence bhi kam ho jayga. Mere sir bolte the ki english bolna sikhna bhi piano sikhne jaisa hia. apse galtia toh hongi hi. Bas apko bar bar practice karni hai taki har bar apki galtiya kam hoti jaye. Orh baad me 1 time aye tab app perfect ho jaye. Orh apse english bolne me koi galti na ho.
16. Dhire dhire word bole orh Har na mane english sikhte rahe- Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe 30 din:
Jaldi orh fluent English sikhne ka best tips ye hai ki app dhire dhire English bole. English words ko slowly bolne se unme clarity ati hai. app apki pronunciation thik hoti hai. ho sakta hai apko angregi sikhne me kaffi time lag jaye 15 day, 1 month, 6 month. Ye apki samajane ki shakti bhar nirbhar karta hai. ki ap kitni jaldi English bolna sikhte hai.itne time me akshar asa hota hia ki logo ka manobar kamjor ho jata hia. Jiske karan wo apne aap se nirash ho jate hia. Orh agge ki study rok dete hai. agar apke sath bhi asa ho raha hai. toh please haar naa mane. Apne app ko motivate kre. 1 na 1 din app ek ache English speaking person jarur banoge. Dhire dhire word ko bolna English jaldi sikhne ka 1 mantra hai. jo aap apni life me jarur apnaiyega.

 17. Ek pocket dictionary karidhe- jaldi english bolna kaise sikhe:

Agar appki English vocalubary weak hai. toh me apko ek best tips deta hu. Jisko app use karke jaldi English vocabulary ko stong kar sakte hia. App 1 pocket dictionary karidhe isse apne sath hamesha rakhe. Jab bhi apke samne asa word aye jo apko samja nhi aye. Toha pp iss dictionary ki sahayata se uss word ki English to hindi translation kar sakte hai.
18. English interview padhe- jaldi english bolna kaise sikhe:
Aagar apko magazine padhne ka shok hai. toh app famous logo ke English interview padh sakte hai. isme apko kuch ase words meaning ka pata chalega. Jo log apne daily lifestyle me use karte hai. app unn words ko apni note book me likhe. Unka sahi istimal karna sikhe. Ho sakte toh inn words ko rojasna apni life me use kare. asa karne se wo apko kafii lambe time tak yaad rehega. Jisse apni englihs vocabulary storng hogi.
19. online English chatting- social network ka sahi use kare- Jaldi English bolna kaise sikhe online free english speaking cource in india:
jaldi english sikhne ke liye app online social networking ka bhi use kar sakte hia. App social networking website jaise ki facebook.com join kar sakte hai. app facebook par foreigner friends banaye. Takki unse english me chat kar sake. Iss tarha app apne free time me chatting kar sakte hai.
1.facebook:
facebook 1 social networking websit ahai jaha user apni personal profile crate kar skat hai. apne frined se msg me baat kar sakte hia orh dusre friends ko add kar sakte hia. Facebook me kaai useful feature hai jo apko jaldi sikhane me kaffi had tak help kar sakte hia. Iseme automatic notification service hia. App apne interest ke according apne friend dhund sakte hia. Orh unhe add kar sakte hia. Shor me faceboook ek asa social network website hai jisma use app apni study ke liye bhi kar skate hai. hai. app apni friend se improve karne ke liye chat kar sakte hai. facebook ke jariye apki me padhen ke skill banti hia. App jabbhi facebook on karnte hia toh apko kai msg dikhte hai jo ki english language me hote hai. iss tarike se app automatically enslish ke touch me rehte hia. Jo ki jaldi sikhe me liye bahut jaruri point hai.
  1. app online English forum ko join kar sakte hai. internet par kaii free online english foram hai jaha appko online group discussion karne ka moka milega. Forum asi online website hoti hai jaha app apne mind me chal rahe question puch sakte hia.
Mostly forum me group ko topic ke according bata jata hia. App english se related topic ko ko choose kar sakte hia. Ase me app se related question puch sakenge. Orh sath hi sath app isse related answer bhi de sakege jo dusre member ne puche hia.
2. Twitter:
Twitter 1 online social networking website hai jiska app use jaldi english sikhne me kar sakte hia. Isme apko apne msg 140 words me likhna hota hai. ase me agar app apne bare me kuch upadate likhna chahte hai. toh apko senctence ko 140 words me likhna hoga. I mean apko words ko sahi tangh se chunna hoga. Ase words ko chuuna hoga jo sahi meaning batate ho. Iske liye apko jo word thik nahi hai unko hatana padat hia. Orh words ko carefully choose karna hota hia. Iss tarha se ye apki english grammar ko improve karta hai. orh apko jaldi sikhne me help karnta hia.
facebook internet Online ghar baithe Jaldi fluent English angreji bolna kaise sikhe 30 din me grammar best tips tarike in hindi language pdf download video free speaking course in india online
3. Whatsapp:
Whatsapp 1 apps hai jisk ause app apni english communication skill ko improve karne me laga sakte hai. app apne friends ke sath me chat kar sakte hai. whatsapp me voice record karne ki facility bhi hoti hai. it mean app apni voice ko record karke apne friend ko send kar sakte hia. Iss tarha aap jalid angreji bolna sikh jaoge orh sath hi apki english me sunne ki addat bhi ban jayegi. App apki friend ki bate jo wo apko send kar rah hai sun skte hia. Jisse apki English ki vocabulary bhi achi hoti hia.
free english speaking cource in india in hindi jaldi english bolna kaise sikhe


20. Youtube par english speaking video dekhiye- jaldi english bolna kaise sikhe:

Youtube apne app me free english speaking cource ka best collection hai. app iss website par jakar engish ka koi bhi topic jaise ki- English vocabulary, tenses, modals, grammar etc. asanni se padh sakte hai. apko har type ki video yaha par uplabdh milegi.
jadli englihs bolna kaise sikhe best book for engish learning
App yaha par english sikhane wali videos dekh sakte hai. youtube par apko 1000 se jyda best English speaking videos ka colletion milta hia. App 1-1 karke unhe dekh sakte hia. Agar apko koi videos pasand aye toh app free me download bhi kar sakte hai. app youtube par online free lesson lete time in bato ka dhyan rakhe.
  • Youtube me log in kar lijiye. Agar appka youtube me pehle se account hai toh isme log in kar lijiye. Orh agar nahi hai toh 1 youtube account bana le.
  • Jo bhi video apko pasand ho use apne favourise me add kar lijiye. Taki app use baad me dekh sake.
  • appko jo English sikhane wali video achi lage wo app download kar le. in videos ko bar bar dekhne se app jaldi fluent english bolna sikhe sakte hai.
  • Inn downloads kari videos ko bar bar dekhe. Takki apko englihs ki barikio ka pata chale. Ki English me bolte time kin bato ka dyan rakhna chahia.
agar pako ye post jaldi english bolna kaise sikhe online free english speaking cource in india in hindi pasand aye. toh please ise facebook, google plus par share jarur karna.

1 comment:

  1. Tremendous work done by you, the information you provided is highly useful and I really appreciate your efforts. Thank you for the share.
    English Practice App | English Learning App

    ReplyDelete